Deepak
Contact
Guestbook





Pucho na us kagaj se,jis pe hum dil ke bayan likhte hai,Tanhayino me beeti baate tamam likhte hai,Wo Kalam bhi dewani ho gayi,jis se hum AAP ka Naam likhte hai.

Apne haathon se yun chehre ko chupate kyun ho, mujh se sharmate ho toh yun samne aate kyun ho, Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa, pyaar karte ho toh phir pyaar chupate kyun ho

Humein unki ebadat se fursat nahi milti ,log na jane kisko khuda kehte hain ,dil mein rakha hai unko,log na jane kyon juda kehte hain.

Unka waada hai ki vo laut ayenge,issi umeed par hum jiye jayenge,yeh intezaar bhi unhi ki tarah pyaara hai,kar rahe the, kar rahe hai or kiye jayenge.

Jo hadse na guzaar jaye woh pyaar hi kya, jo pyaar karne pe majbur na kar de woh ikrar hi kya, intezar to sab karte hai, saanse tutne tak, jo sath na de woh yaar hi kya!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jaan kar bhi woh Mujhe jaan na paaye,
Aaj tak woh Mujhe pehchaan na paaye,
Khud hi kar li bewafai humne,
taaki unpar koi ilzaam na aaye…

Nakaam si koshish kiya karte hain,
Hum hain ki unse pyar kiya karte hain,
Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha,
Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain …

milna itifaak tha bicharna naseeb tha
wo utna he door ho gaya jitna kareeb tha
hum usko dekhne k liye taraste he rahe
jis shaks ki hatheli pe hamara naseeb tha

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mere dil ki kitab ko padhna kabhi,
Sapno me aake mujh se milna kabhi
Maine duniya sazai hai tere liye,
Meri nazro ki ummed ban’na kabhi
Bahut dur hai sitaro se roshan jahan,
Jra humkadam banke mere sath chalna kabhi
Bahut najuk seene mai DIL hai mera,
Tum andaj mohabbat banke dha’rkna kabhi
 

Today, there have been 1 visitors (1 hits) on this page!


This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free